Faasley raston ke simatney lagey jab chaley meharban dhoondtey dhoondtey
Naqsh haye qadam, gard-e-raahe-e-safar, manzilon ke nishan dhoondtey dhoondtey
Sheher abaad hain jungalon ki tarah aur jaye aman koi milti nahin
Dar badar khwar-o-ruswa ab insan hai sang-e-dar aastan dhoondtey dhoondtey
Zard pattey hawa se larazney lagey toot kar jab fiza main bikharney lagey
Fasl-e-gul aa gayi sehn-e-gulzar main rahguzar-e-khizan dhoondtey dhoondtey
Daman-e-dil kushada karo dosto bat rahi hain mata-e-wafa loot lo
Rahravan-e-mohabbat chaley aye hian piyar ki kehkashan dhoondtey dhoondtey
Sookhey pairon main bhi zindagi aagayi har taraf zindagi ki khushi cha gayi
Ae bahar-e-chaman teri tarz-e-ada gulsitan gulsitan dhoondtey dhoondtey
Wehshaton ka safar kahatm hota nahin na umeedi khari hai har ik morr per
Sookh jaye shajar jaise imkan ka dhoop main sayeban dhoondtey dhoondtey
Qafley raaston main bhatakney lagey gum hui hai tamanna-e-manzil bhi ab
Paoun zakhmi hue rahrv-e-shoq ke rehbar-e-kaarvan dhoondtey dhoondtey
Koi dara raha na sikandar raha kuch raha bhi to naam-e-qalandar raha
Sab chaley aakhirsh rah-e-mulk-e-adam apne sood-o-ziyan dhoondtey dhoondtey
Dekhiye kal dikhati hai taqdeer kiya khwab kiya aur khwabon ki taabeer kiya
Aagaye hain yahan tak to SIDDIQUE bhi chahaton ka jahan dhoondtey dhoondtey

Comment